badal saka na judai ke gham uTha kar bhi
ki main to main hi raha tujh se dur ja kar bhi
main saKHt-jaan tha is karb se bhi bach nikla
main ji raha hun tujhe hath se ganwa kar bhi
KHuda kare tujhe duri hi ras aa jae
tu kya karega bhala ab yahan par aa kar bhi
abhi to mere bikharne ka khel baqi hai
main KHush nahin hun abhi apna ghar luTa kar bhi
main us ko sath se mahsus kar ke bhi KHush hun
wo mutmain hi nahin meri tah ko pa kar bhi
abhi tak us ne koi bhi to faisla na kiya
wo chup hai mujh ko har ek tarah aazma kar bhi
usi hujum mein laD-bhiD ke zindagi kar lo
raha na jaega duniya se dur ja kar bhi
wo log aur hi the jin ka ijz phal laya
hamein to kuchh na mila apne ko miTa kar bhi
khula ye bhed ki tanhaiyan hi qismat hain
ek umr dekh liya mahfilen saja kar bhi
ghazal kahe pe bhi sochon ka bojh kam na hua
sakun na mil saka ahwal-e-dil suna kar bhi
ruka na zulm mere rakh banne par bhi 'riyaz'
hua ki KHu to wahi hai mujhe jala kar bhi
Ghazal
Badal saka na judai ke gham uTha kar bhi
Riaz Majeed