baDa be-dad-gar wo mah-jabin hai
magar itna nahin jitna hasin hai
tabassum-pashiyan aghyar par hain
hamare waste chin-e-jabin hai
jahan mein amn ho kyun-kar ki har su
bapa jang-e-baqa-e-behtarin hai
nahin ka lafz hai kuchh talKH warna
tumhaari han ka matlab bhi nahin hai
tere mehman wo aaen ai 'wafa' kya
are tera Thikana bhi kahin hai

Ghazal
BaDa be-dad-gar wo mah-jabin hai
Mela Ram Wafa