bad-sohbaton ko chhoD sharifon ke sath ghum
pi KHush-numa glass se achchhe labon ko chum
lahje ko shoKH chehre ko taza banae rakh
tahsin ki saba ho ki tazhik ki sumum
mai-KHana-e-mafad ke mai-kash hain hosh-mand
mauqa se le le jam tawazun ke sath jhum
burj-e-amal mein chance ke suraj ki kar giraft
saDken hain zaicha tera ye qumqume nujum
Thahra to phir uDaengi KHamoshiyan mazaq
stage se utar jo mache taliyon ki dhum
han gulshan-e-talab ki inhen bulbulen samajh
viran-kade mein jism ke ye KHwahishon ke bum
Ghazal
Bad-sohbaton ko chhoD sharifon ke sath ghum
Abdul Ahad Saaz