baz auqat faraghat mein ek aisa lamha aata hai
jis mein hum aison ko achchha-KHasa rona aata hai
sab us shaKHs se mil kar bilkul taza-dam ho jate hain
phir us din taswir mein sab ka chehra achchha aata hai
bagh se phul churane wali laDki ko ye kya malum
us ke qadmon ki har chap pe phul ko khilna aata hai
hum ye baat baDe-buDhon se aksar sunte aae hain
daen hath mein khujli ho to jeb mein paisa aata hai
jab bhi us ko rishte ki taswir dikhai jati hai
us ke zehn mein fauran mere jaisa laDka aata hai
ham-sae ki unchi diwaron se itna farq paDa
pahle ghar mein dhup aa jati thi ab saya aata hai
is aawaz ko sunne wale kan mubarak kahlate hain
un aankhon ko dekhne walo KHwab mein dariya aata hai

Ghazal
Baz auqat faraghat mein ek aisa lamha aata hai
Waseem Tashif