baaton se sitamgar mujhe bahlata raha wo
milne mein to har bar hi apnon sa laga wo
kya kya meri KHwahish ke mazaq us ne uDae
kya kya nahin deta raha jine ki saza wo
jab bhi kabhi us ne mujhe maqtal mein sajaya
mujh ko to bas apna hi taraf-dar laga wo
jis ne bhi mera sath diya rah-e-wafa mein
ek shaKHs ki dahshat se mujhe chhoD gaya wo
aisa kabhi dekha na suna jaur ka KHugar
har bar jafa kar ke bhi hota tha KHafa wo
karta tha murawwat mein kabhi mashq-e-sitam bhi
kahta tha mere KHun ko kabhi rang-e-hina wo

Ghazal
Baaton se sitamgar mujhe bahlata raha wo
Sarwar Majaz