اردو हिंदी
Baaton ke nagar se aa rahe hain | Shaahi Shayari
baaton ke nagar se aa rahe hain

Ghazal

Baaton ke nagar se aa rahe hain

Mashkoor Husain Yaad

;

baaton ke nagar se aa rahe hain
hum apne hi ghar se aa rahe hain

lafzon ke tulua kar ke aafaq
mani ke safar se aa rahe hain

KHamoshiyan bhar ke tan-badan mein
hum barq o sharar se aa rahe hain

taron ke ye jitne qafile hain
imkan-e-sahar se aa rahe hain

in ashkon ka dil se kya talluq
ye shoale jigar se aa rahe hain

bhige hue gham mein sar se pa tak
dariya-e-hunar se aa rahe hain

jitne bhi hain lutf-e-jaan ke mausam
sab dida-e-tar se aa rahe hain

ye gham ke tuyur be-tahasha
ek dil ke shajar se aa rahe hain

'mashkur' hain kis KHayal mein mast
be-KHauf-o-KHatar se aa rahe hain