baatil hai hum se dawa shaer ko ham-sari ka
diwan hai hamara kisa jawahari ka
chehra tera sa kab hai sultan-e-KHawari ka
chira hazar bandhe sar par jo wo zari ka
munh par ye goshwara moti ka jalwa-gar hai
jaise qiran-e-baham ho mah o mushtari ka
aaina-KHane mein wo jis waqt aan baiThe
phir jis taraf ko dekho jalwa hai wan pari ka
juz shauq-e-dil na pahunchun hargiz ba-ku-e-jaanan
ai KHizr kab hun teri muhtaj rahbari ka
jo dekhta hai tujh ko hansta hai qahqahe mar
ai shaiKH tera chehra mabda hai masKHari ka
talib hain sim-o-zar ke KHuban-e-hind 'sauda'
ahwal kaun samjhe aashiq ki be-zari ka
Ghazal
Baatil hai humse dawa shaer ko ham-sari ka
Sauda Mohammad Rafi