baat se baat nikalne ke wasile na rahe
lab rasile na rahe nain nashile na rahe
ashk barse to darun-KHana-e-jaan sail gaya
dard chamka to dar-o-baam bhi gile na rahe
phul se bas juda fikr se ehsas juda
fard se TuT gae fard qabile na rahe
Tis uThti hai magar chiKH nahin ho pati
tere phenke hue patthar bhi nukile na rahe
maut ne chhin liya rang bhi nam bhi 'KHalid'
aankh bhi sukh gai honT bhi nile na rahe
Ghazal
Baat se baat nikalne ke wasile na rahe
Khalid Ahmad