barish ki rut thi raat thi pahlu-e-yar tha
ye bhi tilism-e-gardish-e-lail-o-nahaar tha
kahte hain log auj pe tha mausam-e-bahaar
dil kah raha hai arbada-e-zulf-e-yar tha
ab to visal-e-yar se behtar hai yaad-e-yar
main bhi kabhi fareb-e-nazar ka shikar tha
tu meri zindagi se bhi katra ke chal diya
tujh ko to meri maut pe bhi iKHtiyar tha
o gane wale TuTte taron ke saz par
main bhi shahid-e-tul-e-shab-e-intizar tha
palken uThin jhapak ke girin phir na uTh sakin
ye e'tibar hai to kahan e'tibar tha
yazdan se bhi ulajh hi paDa tha tera 'nadim'
yani azal se dil mein yahi KHalfashaar tha
Ghazal
Barish ki rut thi raat thi pahlu-e-yar tha
Ahmad Nadeem Qasmi