barish ke qatre ke dukh se na-waqif ho
tum hanste chehre ke dukh se na-waqif ho
tum ne sirf bichhaD jaane ka karb saha hai
pa kar kho dene ke dukh se na-waqif ho
ek hi chhat ke niche rahte hain hum lekin
tum mere lahje ke dukh se na-waqif ho
sath kisi ke rah kar jo tanha kaTta hai
tum aise lamhe ke dukh se na-waqif ho
hathon ki chuDi ki zaban samajh lete ho
phaile hue gajre ke dukh se na-waqif ho
jo manzil tak ja ke aur kahin muD jae
tum aise raste ke dukh se na-waqif ho
Ghazal
Barish ke qatre ke dukh se na-waqif ho
Humaira Rahat