اردو हिंदी
Bar-e-KHatir hui ye umr-e-gurezan jaanan | Shaahi Shayari
bar-e-KHatir hui ye umr-e-gurezan jaanan

Ghazal

Bar-e-KHatir hui ye umr-e-gurezan jaanan

Muzaffar Ahmad Muzaffar

;

bar-e-KHatir hui ye umr-e-gurezan jaanan
tujh ko samjha tha gham-e-hijr ka darman jaanan

aa bataun tujhe aashob-e-tamanna kya hai
kaise kaTti hai ye tar-e-shab-e-hijran jaanan

main ne har gham ko gham-e-ishq se tabir kiya
gham-e-jaan ho ya bala se gham-e-dauran jaanan

koi dekhe meri aankhon se asiri ka fusun
ghar hua jata hai ek halqa-e-zindan jaanan

ek bhi tir-e-nazar tera KHata jata nahin
sab hue jate hain paiwast-e-rag-e-jaan jaanan

KHud-kushi hai ya ye izhaar-e-gham-e-furqat hai
KHud se hone laga hun dast-o-gareban jaanan

umr-bhar ghuncha-e-hasti na shagufta dekha
hum ne jaise bhi basar ki tera ehsan jaanan

kunj-e-ghurbat mein 'muzaffar' ne ghanimat samjha
jis qadar bhi wo hua be-sar-o-saman jaanan