baqi hai tab-e-zabt na taqat fughan ki hai
haalat bahut saqim dil-e-na-tawan ki hai
aankhon mein josh hai kabhi tufan nuh ka
dil mein mere taDap kabhi barq-e-tapan ki hai
ai aah-e-na-rasa tere nale hain be-asar
behtar yahi hai baat rahe jo jahan ki hai
hota hai josh gar ye jo ab baat baat par
dil mein mere ye choT ilahi kahan ki hai
ai dil tujhe natija-e-ulfat hai KHub yaad
aur phir bhi aarzu tujhe ku-e-butan ki hai
jis ko samajh rahe hain wo baadal ki ek garaj
fariyaad dardnak kisi KHasta-jaan ki hai
bulbul hai KHush ki bagh mein hai KHak aashiyan
ye kaun jaanta hai ki miTTi kahan ki hai
sone diya na shor-e-qayamat ne qabr mein
samjha tha main ki jae ye amn-o-aman ki hai
rang-e-shafaq se sham ko milta hai ye pata
ab aasman pe gard mere karwan ki hai
mansur ki fana hai baqa-e-sada-e-haq
aawaz wadiyon mein abhi tak azan ki hai
samjha raha hun dil ko nahin phir bhi e'timad
wo baat kah raha hun jo un ki zaban ki hai
hai dil-gudaz yun bhi meri dastan-e-gham
tasir us pe kuchh mere tarz-e-bayan ki hai
'hafiz' ye kaenat na ho jae jal ke KHak
baDhti hui tapish mere soz-e-nihan ki hai

Ghazal
Baqi hai tab-e-zabt na taqat fughan ki hai
Mohammad Wilayatullah