bani-e-shahr-e-sitam mazlum kaise ho gaya
kal jo mujrim tha wo ab masum kaise ho gaya
mohtasib sach sach bata KHalwat mein kya sauda hua
muddai insaf se mahrum kaise ho gaya
tair-e-azad zer-e-dam kaise aa gaya
wo KHayal-e-muntashir manzum kaise ho gaya
kyun sharafat ko himaqat ka diya logon ne nam
fitna-e-shar KHair se mausum kaise ho gaya
kis tarah ahl-e-junun ahl-e-KHirad samjhe gae
aql ka diwangi mafhum kaise ho gaya
mujh se milna to tujhe mushkil tha ai matlab ke yar
ab mere ghar ka pata malum kaise ho gaya
kya hain asbab-e-zawal-e-muslim-e-ashufta-haal
kal jo hakim tha wo ab mahkum kaise ho gaya
jo ye kahta tha ki main hun ek nishan-e-la-zawal
naqsh-e-fani ki tarah madum kaise ho gaya
bol ai taib miTa naqsh-e-suwaida kis tarah
lauh-e-dil par lafz-e-haq marqum kaise ho gaya
qaum ka qaid hai wo jo is ka KHidmat-gar hai
jis ne KHidmat hi na ki maKHdum kaise ho gaya
bhar diye auham kis ne zehn-e-millat mein 'jalal'
chashma-e-ab-e-baqa masmum kaise ho gaya

Ghazal
Bani-e-shahr-e-sitam mazlum kaise ho gaya
Qasim Jalal