bani-e-jaur-o-jafa hain sitam-ijad hain sab
rahat-e-jaan koi dilbar nahin jallad hain sab
kabhi tuba tere qamat se na hoga baala
baaten kahne ki ye ai ghairat-e-shamshad hain sab
mizha o abru o chashm o nigah o ghamza o naz
haq jo puchho to meri jaan ke jallad hain sab
sarw ko dekh ke kahta hai dil-e-basta-e-zulf
hum giraftar hain is bagh mein aazad hain sab
kuchh hai behuda o naqis to 'amanat' ka kalam
yun to kahne ko fan-e-sher mein ustad hain sab
Ghazal
Bani-e-jaur-o-jafa hain sitam-ijad hain sab
Amanat Lakhnavi