اردو हिंदी
Baal-o-par rakhte nahin azm-e-safar rakhte hain | Shaahi Shayari
baal-o-par rakhte nahin azm-e-safar rakhte hain

Ghazal

Baal-o-par rakhte nahin azm-e-safar rakhte hain

Mushtaq Anjum

;

baal-o-par rakhte nahin azm-e-safar rakhte hain
shauq-e-parwaz ba-andaz-e-digar rakhte hain

hath uThane ki koi shart dua mein kab hai
tere ushshaq nigahon mein asar rakhte hain

bil-irada na sahi yun hi kabhi aa jao
pyar ke raste mein hum chhoTa sa ghar rakhte hain

ye alag baat ki aate hain nazar zarra-sifat
warna qadmon mein to hum shams-o-qamar rakhte hain

dhup hai ret hai aur apna safar hai jari
saya rakhte hain na hum log shajar rakhte hain

us taraf wale nazar aate hain larzida magar
is taraf wale kaf-e-dast pe sar rakhte hain

pur-sukun hai jo faza us pe na jaana 'anjum'
aashiyan kitne abhi barq-o-sharar rakhte hain