اردو हिंदी
Bahar damakti barf mein andar mahakti raat mein | Shaahi Shayari
bahar damakti barf mein andar mahakti raat mein

Ghazal

Bahar damakti barf mein andar mahakti raat mein

Jamshed Masroor

;

bahar damakti barf mein andar mahakti raat mein
us ke badan ka phul hai jaise hawa ke hat mein

khiDki se chhante chand mein nazdik aatish-dan ke
zulfon ka saya oDh ke baiThi hain aankhen ghat mein

us ke labon se TuT kar simab-e-mai girne laga
gile gulabon se uDe jugnu andheri raat mein

ek nim raushan kunj ki jadugari simTi hui
shanon ke simin harf mein aankhon ki nili baat mein

uDta hua ek lafz sa honTon ne aankhon se kaha
tahrir mein aane laga bikhra hua jazbaat mein