bagh-e-alam mein rahe shadi-o-matam ki tarah
phul ki tarah hanse ro diye shabnam ki tarah
shikwa karte ho KHushi tum se manai na gai
hum se gham bhi to manaya na gaya gham ki tarah
rose mahfil se uThate ho to dil dukhta hai
ab nikalwao to phir hazrat-e-adam ki tarah
lakh hum rind sahi hazrat-e-waiz lekin
aaj tak hum ne na pi qibla-e-alam ki tarah
tere andaz-e-jarahat ke nisar ai qatil
KHun zaKHmon pe nazar aata hai marham ki tarah
KHauf dil se na gaya subh ke hone ka 'qamar'
wasl ki raat guzari hai shab-e-gham ki tarah
Ghazal
Bagh-e-alam mein rahe shadi-o-matam ki tarah
Qamar Jalalvi