baadal umDe hain dhuan-dhaar ghaTa chhai hai
dhuen tauba ke uDane ko bahaar aai hai
ta ki angur hare hon mere zaKHm-e-dil ke
dhani angiya mere dildar ne rangwai hai
tira-baKHti se hui mujh ko ye KHiffat hasil
dil-e-wahshat mein suwaida ki jagah pai hai
ye chalan hain to tumhein hashr se denge tashbih
log saffak kahenge baDi ruswai hai
maut ko zist samajhta hun main betabi se
teri furqat ne ye haalat meri pahunchai hai
sabr hijran mein kare 'kaifi'-e-mahzun kab tak
aaKHir ai dost koi hadd-e-shakebai hai
Ghazal
Baadal umDe hain dhuan-dhaar ghaTa chhai hai
Dattatriya Kaifi