baadal ki tarah ranj-fishani karen hum bhi
shayad kabhi is aag ko pani karen hum bhi
ab silsila-e-qissa-e-shab TuT raha hai
ab izn ata ho to kahani karen hum bhi
hum ko bhi kabhi dekh hawaon ke safar mein
sahra ki tarah naql-e-makani karen hum bhi
aisa hai ki sikkon ki tarah mulk-e-suKHan mein
jari koi ek yaad purani karen hum bhi
is lamha-e-ruKHsat ke dhaDak uThne se pahle
Thahre hue dil tujh ko nishani karen hum bhi
Ghazal
Baadal ki tarah ranj-fishani karen hum bhi
Saud Usmani