baadal baras ke khul gaya rut mehrban hui
buDhi zamin ne tan ke kaha main jawan hui
makDi ne pahle jal buna mere gird phir
monis bani rafiq bani pasban hui
shab ki rikab tham ke KHushbu hui juda
din chaDhte chaDhte bisri hui dastan hui
karte ho ab talash sitaron ko KHak par
jaise zamin zamin na hui aasman hui
is bar aisa qaht paDa chhanw ka ki dhup
har sukhte shajar ke liye saeban hui
gili hawa ke lams mein kuchh tha wagarna kab
kaliyon ki bas galiyon ke andar rawan hui
aana hai gar to aao ki chalne lagi hawa
kashti samundaron mein khula baadban hui
Ghazal
Baadal baras ke khul gaya rut mehrban hui
Wazir Agha