baadam do jo bheje hain baTwe mein Dal kar
iman ye hai ki bhej de aankhen nikal kar
dil sine mein kahan hai na tu dekh-bhaal kar
ai aah kah de tir ka nama nikal kar
utrega ek jam bhi pura na chaak se
KHak-e-dil-e-shikasta na sarf-e-kulal kar
le kar buton ne jaan jab iman pe Dala hath
dil kya kinare ho gaya sab ko sambhaal kar
taswir un ki hazrat-e-dil khinch lije gar
rakh denge hum bhi panw pe aankhen nikal kar
qatil hai kis maze se namak-pash-e-zaKHm-e-dil
bismil zara taDap ke namak to halal kar
dil ko rafiq ishq mein apna samajh na 'zauq'
Tal jaega ye apni bala tujh pe Tal kar
Ghazal
Baadam do jo bheje hain baTwe mein Dal kar
Sheikh Ibrahim Zauq