baad-e-shimal chalne lagi ang ang mein
lipTa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein
KHwahish ke karobar se bachna muhaal hai
utrega tu bhi sath mere is surang mein
main aandhiyon mein hath bhi pakDun tera to kya
ek shaKH-e-be-siper hun hawaon ki jang mein
'ranjha' main ahd-e-nau ka qabilon mein baT gaya
to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein
garma sakin na chahaten tera kaThor jism
har ek jal ke bujh gai taswir sang mein
aage 'musawwir' aag aqab mein hai ye sada
pichhe na muD ke dekhna is dasht-e-sang mein
Ghazal
Baad-e-shimal chalne lagi ang ang mein
Musavvir Sabzwari