baad-e-saba ye zulm KHuda-ra na kijiyo 
is bewafa se zikr hamara na kijiyo 
gham ki kami nahin hai jahan-e-KHarab mein 
ai dil taras taras ke guzara na kijiyo 
ai sahab-e-uruj tu baam-e-uruj se 
suraj ke Dubne ka nazara na kijiyo 
aisa na ho ki log hamein pujne lagen 
itna bhi ehtiram hamara na kijiyo 
sahil agar nasib bhi ho jae ai 'hafiz' 
tufan se bhul kar bhi kinara na kijiyo
        Ghazal
Baad-e-saba ye zulm KHuda-ra na kijiyo
Hafeez Merathi

