ba-zom-e-KHud kahin KHud se wara na ho jaun
KHuda-na-KHwasta main bhi KHuda na ho jaun
bas ek dhyan ki main ungli tham rakhi hai
ki bhiD mein kahin KHud se juda na ho jaun
ye sochta hun kisi dil mein ghar karun main bhi
aur us se pahle yahan be-Thikana ho jaun
ye ji mein aata hai mere ki raftagan ki tarah
main aaj mulk-e-adam ko rawana ho jaun
sab ahl-e-dahr mujhe DhunDte na rah jaen
main apni zat hi mein lapata na ho jaun
koi to ho jo mujhe zindagi hi mein pae
kisi ke hath mein aaya KHazana ho jaun
jo ho sake to mere jite-ji hi qadr karo
mabaada main koi guzra zamana ho jaun
bas ek tajraba mere liye bahut hai dila
ek aur ishq mein phir mubtala na ho jaun
main ek charagh-e-sar-e-rahguzar hun 'sahir'
hawa ke sath bil-aKHir hawa na ho jaun

Ghazal
Ba-zom-e-KHud kahin KHud se wara na ho jaun
Parvez Sahir