ba-rang-e-sher gire aur bar bar gire 
hamare zehn pe kirnon ke aabshaar gire 
ghamon ki rah mein sabit-qadam hain diwane 
bisat-e-aish pe kitne nashat-e-kar gire 
chaman khula to nai nikhaton ke aanchal par 
shaguft-e-gul se tere aks be-shumar gire 
zamin chand ka TukDa hai jis ki zulmat par 
kai ujale har ek shab sitara-war gire 
hamein bhi fursat-e-yak-KHwab us faza mein jahan 
kiran kiran lab-o-ruKHsar ki phuwar gire 
ubhar raha hai jo mashriq ke har KHarabe se 
kise KHabar ki kahan ja ke ye ghubar gire
        Ghazal
Ba-rang-e-sher gire aur bar bar gire
Sahba Akhtar

