ba-qadr-e-hausla koi kahin koi kahin tak hai 
safar mein rah-o-manzil ka tayyun bhi yahin tak hai 
na ho inkar to isbaat ka pahlu bhi kyun nikle 
mere israr mein taqat faqat teri nahin tak hai 
udhar wo baat KHushbu ki tarah uDti thi galiyon mein 
idhar main ye samajhta tha ki mere ham-nashin tak hai 
nahin kotah-dasti ka gila itna ghanimat hai 
pahunch hathon ki apne apne jeb-o-astin tak hai 
siyahi dil ki phuTegi to phir nas nas se phuTegi 
ghulamo ye na samjho dagh-e-ruswai jabin tak hai 
phir aage marhale tai ho rahenge himmat-e-dil se 
jahan tak raushni hai KHauf-e-tariki wahin tak hai 
ilahi barish-e-abr-e-karam ho fasl duni ho 
ki 'baqar' ki to aamad bas isi dil ki zamin tak hai
        Ghazal
Ba-qadr-e-hausla koi kahin koi kahin tak hai
Sajjad Baqar Rizvi

