ba-nam-e-ishq yahi ek kaam karte hain
ye zindagi ka safar us ke nam karte hain
ajab nahin dar-o-diwar jaise ho jaen
hum aise log jo KHud se kalam karte hain
ye mah-ru bhi to hote hain aansuon ki tarah
kisi ki aankh mein kab ye qayam karte hain
ghazab ki dhup hai ab ke safar mein ham-nafaso
kisi ke saya-e-gesu mein sham karte hain
tumhi ne sath diya zindagi ki rahon mein
kitab-e-umr tumhaare hi nam karte hain
kuchh is tarah teri aankhon mein ashk hain jaise
shab-e-siyah mein sitare KHiram karte hain
ajib log hain 'tariq-naim' shahr ke bhi
ye tir-e-hijr dilon mein niyam karte hain
Ghazal
Ba-nam-e-ishq yahi ek kaam karte hain
Tariq Naeem