ba-juz tumhaare kisi se koi sawal nahin
ki jaise sare zamane se bol-chaal nahin
ye sochta hun ki tu kyun nazar nahin aata
meri nigah nahin ya tera jamal nahin
tajahul apni jafaon pe aur mahshar mein
KHuda ke samne kahte ho tum KHayal nahin
ye kah ke jalwe se behosh ho gae musa
nigah us se milaun meri majal nahin
main har bahaar-e-gulistan pe ghaur karta hun
jala na ho mera ghar aisa koi sal nahin
KHata muaf ki sarkar munh pe kahta hun
baghair aaina kah lo meri misal nahin
main chandni mein bulata to hun wo kah denge
'qamar' tumhein meri ruswai ka KHayal nahin
Ghazal
Ba-juz tumhaare kisi se koi sawal nahin
Qamar Jalalvi