ba-har-unwan mohabbat ko bahaar-e-zindagi kahiye
qarin-e-maslahat hai us ke har gham ko KHushi kahiye
jahan-sazon ko farzana hum ahl-e-dil ko diwana
zamana to bahut kahta raha ab aap bhi kahiye
ba-unwan-e-digar phir hum se qaem kar liya tum ne
wo ek gahra talluq jis ko tark-e-dosti kahiye
samajh kar sang-e-rah-e-shauq Thukraata hun manzil ko
kamal-e-agahi kahiye ise ya gumrahi kahiye
shab-e-mahtab mein akasr fazaon se barasta hai
tilism-e-naghmagi aisa ki jis ko KHamushi kahiye
main akasr sochta hun teri be-payan nawazish ko
ada-e-KHas kahiye koi ya bas sadgi kahiye
bhari mahfil se bhi tishna hi lauT aai nazar apni
KHud-agahi samajh lije ise ya KHud-sari kahiye
Ghazal
Ba-har-unwan mohabbat ko bahaar-e-zindagi kahiye
Bashar Nawaz