اردو हिंदी
Ba-har-tariq use mismar karte rahna hai | Shaahi Shayari
ba-har-tariq use mismar karte rahna hai

Ghazal

Ba-har-tariq use mismar karte rahna hai

Arshad Abdul Hamid

;

ba-har-tariq use mismar karte rahna hai
kabhi suKHan to kabhi war karte rahna hai

daron ke waste diwar chahiye jaanan
so farsh-e-KHwab ko diwar karte rahna hai

sahar ke marka-e-nel-o-bad se kya matlab
hamara kaam to bedar karte rahna hai

wo ek dard jo saiqal nahin hua ab tak
usi ko aaina-e-yar karte rahna hai

yahi hai wirsa-e-shabbir ka chalan 'arshad'
ki har yazid se inkar karte rahna hai