awwalin chand ne kya baat sujhai mujh ko
yaad aai teri angusht-e-hinai mujh ko
sar-e-aiwan-e-tarab naghma-sara tha koi
raat bhar us ne teri yaad dilai mujh ko
dekhte dekhte taron ka safar KHatm hua
so gaya chand magar nind na aai mujh ko
inhi aankhon ne dikhae kai bharpur jamal
inhin aankhon ne shab-e-hijr dikhai mujh ko
sae ki tarah mere sath rahe ranj o alam
gardish-e-waqt kahin ras na aai mujh ko
dhup idhar Dhalti thi dil Dubta jata tha idhar
aaj tak yaad hai wo sham-e-judai mujh ko
shahr-e-lahore teri raunaqen daim aabaad
teri galiyon ki hawa khinch ke lai mujh ko
Ghazal
Awwalin chand ne kya baat sujhai mujhko
Nasir Kazmi