اردو हिंदी
Awwalan us be-nishan aur ba-nishan ko ishq hai | Shaahi Shayari
awwalan us be-nishan aur ba-nishan ko ishq hai

Ghazal

Awwalan us be-nishan aur ba-nishan ko ishq hai

Nazeer Akbarabadi

;

awwalan us be-nishan aur ba-nishan ko ishq hai
baad-azan sar halqa-e-paigham-baran ko ishq hai

la-fata-illa-ali hai shan mein jis ki nuzul
dostan us shah-e-mardan se jawan ko ishq hai

phir jo hai bagh-e-nabuwwat aur imamat ki bahaar
ghuncha-e-gul sabza-e-ambar-fishan ko ishq hai

arsh o kursi hur o ghilman aur malaek KHas o aam
aalam-e-baala ke sab bashindagan ko ishq hai

hain jo ye chaudah tabaq mutharrik o sakin sada
be-suKHan un sab zamin-o-asman ko ishq hai

muKHtalif hain aur mile rahte hain baham roz-o-shab
KHak baad o aatish o aab-e-rawan ko ishq hai

hai jahan mein jin se raushan adl ke ghar ka charagh
dam-ba-dam un baadshahan-e-jahan ko ishq hai

aur KHurasan asfahan iran aur turan ko
phir hamare gulshan-e-hindostan ko ishq hai

hain jahan tak silsile fuqara ke az-kah-ta-bah-mah
aarifan aur kaamilan aur aashiqan ko ishq hai

koh tharraate hain larzen hain zamin o aasman
aashiq-e-maula ki fariyaad-o-fughan ko ishq hai

har taraf gulzar hai sabzan aur aab-e-rawan
apni nazron mein bahaar-e-gul-fashan ko ishq hai

wo jo hain is gulshan-e-hasti mein ab mahw-e-fana
un ke aage mausam-e-baad-e-KHizan ko ishq hai

gard ke manind phirti hain paDi uDti KHarab
luT gai dast-e-junun ki karwan ko ishq hai

loTte hain mast mai-KHane ke dar par ja-ba-ja
jam o sahba saqi o pir-e-mughan ko ishq hai

kal hi naqsh-e-zaiqa sun kar bhi hum aamil rahe
ai azizan is hayat-e-raegan ko ishq hai

KHilqat-e-kaunain mein kya jin o kya insan 'nazir'
wahshi o tair zaban o be-zaban ko ishq hai