aur na dar-ba-dar phira aur na aazma mujhe
bas mere parda-dar bas! ab nahin hausla mujhe
saKHt nazar-fareb hai aaina-KHana-e-jamal
us ki chamak-damak na dekh, dekh bujha bujha mujhe
habs-e-hujum-e-KHalq se ghuT ke alag hua to main
qatra ba-sath-e-bahar tha chaT gai hawa mujhe
sabr karo muhasibo waqt tumhein bataega
dahr ko main ne kya diya dahr se kya mila mujhe
sirf usi ke samne KHwar kiya tha aas ne
yas ne fard fard par aaina kar diya mujhe
tere hi misr ka malal tere hi najd ka KHayal
shahr-ba-shahr ku-ba-ku gam-ba-gam tha mujhe
kar-gah-e-baqa mujhe zat-o-hayat-o-kaenat
zat-o-hayat-o-kaenat daera-e-fana mujhe
zat-o-hayat-o-kaenat be-sar-o-pa o be-sabaat
be-sar-o-pa o be-sabaat shai se umid kya mujhe
raat lughat-e-umr se main ne chuna tha ek lafz
lafz bahut ajib tha yaad nahin raha mujhe
tha guzaran guzar gaya waqt-e-visal aur bas
KHak bhi chhanta phira phir na kabhi mila mujhe
main ne hansi-KHushi use jaane diya tha han magar
ye to muahida na tha muD ke na dekhna mujhe
sham us aadmi ki yaad aai jo ek umr baad
jaaniye kis azab mein kar gai mubtala mujhe
main ne use shikast di sina-ba-sina lab-ba-lab
sina-ba-sina lab-ba-lab us ne hara diya mujhe
jo na suna tha dahr se us ki zaban se sun liya
ab mujhe koi kuchh kahe fikr nahin zara mujhe
hain teri mehrbaniyan bhuli hui kahaniyan
bhuli hui kahaniyan yaad na ab dila mujhe
fan ko samajh liya gaya mahz atiyya-e-falak
sai-o-riyaz ka sila KHub diya gaya mujhe
mahram-e-KHas dekhna so to nahin gaya 'shuur'
der hui sune hue koi nai sada mujhe
Ghazal
Aur na dar-ba-dar phira aur na aazma mujhe
Anwar Shuoor