aur kya aaKHir tujhe ai zindagani chahiye
aarzu kal aag ki thi aaj pani chahiye
ye kahan ki rit hai jage koi soe koi
raat sab ki hai to sab ko nind aani chahiye
is ko hansne ke liye to us ko rone ke liye
waqt ki jholi se sab ko ek kahani chahiye
kyun zaruri hai kisi ke pichhe pichhe hum chalen
jab safar apna hai to apni rawani chahiye
kaun pahchanega 'danish' ab tujhe kirdar se
be-murawwat waqt ko taza nishani chahiye
Ghazal
Aur kya aaKHir tujhe ai zindagani chahiye
Madan Mohan Danish