aur kuchh tez chalin ab ke hawaen shayad
ghar banane ki milin hum ko sazaen shayad
bhar gae zaKHm masihai ke marham ke baghair
man ne ki hain mere jine ki duaen shayad
main ne kal KHwab mein KHud apna lahu dekha hai
Tal gain sar se mere sari balaen shayad
main ne kal jin ko andheron se dilai thi najat
ab wahi log mere dil ko jalaen shayad
phir wahi sar hai wahi sang-e-malamat us ka
dar-guzar kar din meri us ne KHataen shayad
ab wo kahta nahin mujh se ki barhana tu hai
chhin gain us ke badan ki bhi qabaen shayad
is bharose pe khila hai mera darwaza 'rais'
ruThne wale kabhi lauT ke aaen shayad

Ghazal
Aur kuchh tez chalin ab ke hawaen shayad
Rais Siddiqui