aur koi chaara na tha aur koi surat na thi
us ke rahe ho ke hum jis se mohabbat na thi
itne baDe shahr mein koi hamara na tha
apne siwa aashna ek bhi surat na thi
is bhari duniya se wo chal diya chupke se yun
jaise kisi ko bhi ab us ki zarurat na thi
ab to kisi baat par kuchh nahin hota hamein
aaj se pahle kabhi aisi to haalat na thi
sab se chhupate rahe dil mein dabaate rahe
tum se kahen kis liye gham tha wo daulat na thi
apna to jo kuchh bhi tha ghar mein paDa tha sabhi
thoDa bahut chhoDna chor ki aadat na thi
aisi kahani ka main aaKHiri kirdar tha
jis mein koi ras na tha koi bhi aurat na thi
sher to kahte the hum sach hai ye 'alwi' magar
tum ko sunate kabhi itni bhi fursat na thi
Ghazal
Aur koi chaara na tha aur koi surat na thi
Mohammad Alvi