aur ishrat ki tamanna kya karen
samne tu ho tujhe dekha karen
mahw ho jaen tasawwur mein tere
hum bhi apne qatre ko dariya karen
hum ko hai har roz har waqt intizar
banda-parwar gah gah aaya karen
chaaragar ka chahiye karna ilaj
us ko bhi apna sa diwana karen
un ke aane ka bharosa ho na ho
rah hum un ki magar dekha karen
hum nahin na-waqif rasm-e-adab
dil ki betabi ko 'wahshat' kya karen
Ghazal
Aur ishrat ki tamanna kya karen
Wahshat Raza Ali Kalkatvi