aur hi wo log hain jin ko hai yazdan ki talash
mujh ko insanon ki duniya mein hai insan ki talash
main nahin kahta ki duniya mein hai ulfat ki kami
mujh ko hai lekin isi jins-e-farawan ki talash
bar-e-KHatir hai hayat-e-pur-sukun o pur-jumud
main wo sahil hun jise rahti hai tufan ki talash
is jahan ko jab bana sakta hai wo rashk-e-iram
jaane kyun insan ko hai firdaus-e-viran ki talash
ai sukun-e-jaan mujhe aisi hi hai teri talab
chashm-e-nam ko jis tarah rahti hai daman ki talash
Ghazal
Aur hi wo log hain jinko hai yazdan ki talash
Nazeer Siddiqui