atwar tere ahl-e-zamin se nahin milte
andaz kisi aur hasin se nahin milte
un ki bhi ba-har-haal guzar jati hain raaten
jo log kisi zohra-jabin se nahin milte
tum mehr sahi mah sahi hum se milo to
kya ahl-e-mahak ahl-e-zamin se nahin milte
ai hazrat-e-dil un se bani hai na banegi
kyun aap kisi aur hasin se nahin milte
'mirza' ko bhi parda nahin wala-manashon ki
achchha hai jo us KHak-nashin se nahin milte
Ghazal
Atwar tere ahl-e-zamin se nahin milte
Mirza Hadi Ruswa