اردو हिंदी
Asl mein hun main mujrim maine kyun shikayat ki | Shaahi Shayari
asl mein hun main mujrim maine kyun shikayat ki

Ghazal

Asl mein hun main mujrim maine kyun shikayat ki

Shahzad Ahmad

;

asl mein hun main mujrim main ne kyun shikayat ki
KHud pe bas nahin is ka umr hai shararat ki

pyar ka wahi andaz umr ka wahi aaghaz
garche hain mulaqaten us se ek muddat ki

dil-nawaz KHat us ke zaiqe bahut us ke
rang phika phika hai shoKH hai tabiat ki

ab harif sab us ke talKH roz o shab us ke
kanpte hain lab us ke us ne kyun mohabbat ki

aag sa badan us ka aaftab si nazren
kaun tab laega is qadar tamazat ki

apne band kamre mein main pighalta jata hun
raat ko nikal aai dhup kis qayamat ki

yaad jab bhi karta hun honT jalne lagte hain
dauDte lahu mein hain garmiyan rifaqat ki

majlison mein yaron ke martabe bahut se hain
ek si hai tanhai ilm aur jahaalat ki

main hawa ka jhonka sa apne-ap mein gum tha
ye KHala si tanhai aap ne inayat ki

ahl-e-zar nahin hum log gahri nind sote hain
din hazar lamhon ka raat ek saat ki

puchhta nahin koi tajrabe ko ab 'shahzad'
yani mubtadi hona shart hai imamat ki