asir-e-jism hun darwaza toD Dale koi
gira paDa hun kunen mein mujhe nikale koi
main apne aap mein utra khaDa hun sadiyon se
qarib aa ke mere meri thah pa le koi
main jangalon mein darindon ke sath rahta raha
ye KHauf hai ki ab insan na aa ke kha le koi
shikasta kashti ke taKHte pe so raha hun main
thapeDa maujon ka aa kar mujhe jaga le koi
dahan-e-zaKHm talak khinch ke aa chuka hai ab
main muntazir hun ye zahrab chus Dale koi
zamin pyasi hai tan mein lahu nahin baqi
hamara bojh bahut kam hai ab uTha le koi
yaqin nahin hai kisi ko mere bikharne ka
kasif zehnon ke kar jae saf jale koi
Ghazal
Asir-e-jism hun darwaza toD Dale koi
Aftab Shamsi