اردو हिंदी
Asir-e-dasht-e-tilismat aab se nikle | Shaahi Shayari
asir-e-dasht-e-tilismat aab se nikle

Ghazal

Asir-e-dasht-e-tilismat aab se nikle

Javed Shaheen

;

asir-e-dasht-e-tilismat aab se nikle
bahut dinon mein safine sarab se nikle

tapish hai aisi shabon mein ki uD gai ninden
sabhi chamakte hue rang KHwab se nikle

hisar-e-jabr se mumkin najat thi lekin
jhuka ke sar na kisi tang bab se nikle

kabhi to dard ka shoala zaban par bhaDke
dahakta KHun ragon ke azab se nikle

bhare gharon se bichhaDne ka gham nahin 'shahin'
yahi bahut hai ki shahr-e-KHarab se nikle