ashk hue hain abtar aise hum ko bahae dete hain
taKHti kaisi haif ye laDke dho ke miTae dete hain
ek phansi hi zulfon mein ek chah-e-zaqan hain Dubi hai
dida o dil mein phuT paDi hai ghar ko Dubae dete hain
KHun karenge tum par apna yaad rakho in baaton ko
aao na milna KHub nahin hai tum ko jatae dete hain
KHub jo dekha KHuban ko kuchh KHub na dekha aise hain
ghair se mil kar KHak mein hum ko muft milae dete hain
log 'nisar' ab hum se nahaq un ka tafahhus karte hain
nam-o-nishan hum yar ka apne koi batae dete hain
Ghazal
Ashk hue hain abtar aise hum ko bahae dete hain
Mohammad Amaan Nisar