ashk daman mein bhare KHwab kamar par rakkha
phir qadam hum ne teri rahguzar par rakkha
hum ne ek hath se thama shab-e-gham ka aanchal
aur ek hath ko daman-e-sahar par rakkha
chalte chalte jo thake panw to hum baiTh gae
nind gaThri pe dhari KHwab shajar par rakkha
jaane kis dam nikal aae tere ruKHsar ki dhup
muddaton dhyan tere saya-e-dar par rakkha
jate mausam ne palaT kar bhi na dekha 'mushtaq'
rah gaya saghar-e-gul sabza-e-tar par rakkha
Ghazal
Ashk daman mein bhare KHwab kamar par rakkha
Ahmad Mushtaq