ashk chashm-e-but-e-be-jaan se nikal sakta hai
aah-e-pur-soz se patthar bhi pighal sakta hai
apne andaz-e-takallum ko badal de warna
mera lahja bhi tere sath badal sakta hai
log kahte the ki phalta nahin nafrat ka shajar
hum ko lagta hai ki is daur mein phal sakta hai
mere sine mein mohabbat ki tapish baqi hai
meri sanson se tera husn pighal sakta hai
chand ki chah mein uDte hue panchhi ki tarah
dil bhi nadan hai kisi shai pe machal sakta hai
jazba-e-ishq se raushan hai mera dil 'nazim'
ye diya tez hawaon mein bhi jal sakta hai
Ghazal
Ashk chashm-e-but-e-be-jaan se nikal sakta hai
Nazim Barelvi