asar zulf ka barmala ho gaya
balaon se mil kar bala ho gaya
junun le ke hamrah aai bahaar
nae sir se phir walwala ho gaya
diya ghair ne bhi dil aaKHir use
mujhe dekh kar man-chala ho gaya
samai dil-e-tang ki dekhiye
ki aalam mein sabit KHala ho gaya
talli zamin se jo nalon ne ki
falak par ayan zalzala ho gaya
hua qatl be-jurm main ja ke 'barq'
wo kucha mujhe karbala ho gaya
Ghazal
Asar zulf ka barmala ho gaya
Mirza Raza Barq