arbab-e-gulistan ka chalan dekh raha hun
kaliyon ki jabinon pe shikan dekh raha hun
nazron mein simaTti chali aati hain bahaaren
ek shoKH ki ranai-e-tan dekh raha hun
har phul tere husn ka aaina bana hai
jalwe tere ai jaan-e-chaman dekh raha hun
haalat ki gardish bhi nazar mein hai magar aah!
majbur nigahon mein thakan dekh raha hun
phir shauq-e-shahadat mein baDhe aate hain jaan-baz
ek hashr sar-e-dar-o-rasan dekh raha hun
ye wadi-e-gul-posh hasinon ke ye jhurmuT
har samt sitaron ke chaman dekh raha hun
ai 'naqsh' nazar mein hain nae daur ke andaz
miTte hue aasar-e-kuhan dekh raha hun
Ghazal
Arbab-e-gulistan ka chalan dekh raha hun
Mahesh Chandra Naqsh