aqlim-e-dil pe ishq ki farman-rawaiyan
jaan-baKHsh qurbaten kahin qatil judaiyan
suli chaDha koi koi gharqab ho gaya
kya kya wafa se hoti rahin bewafaiyan
luTti hai qaid-e-zulf mein kya kya bahaar-e-husn
tah mein asiriyon ki hain kya kya rihaiyan
zat-e-bashar hazar girohon mein baT gai
gumrah aur kar gain kuchh rah-numaiyan
nadariyon mein sabr ki neamat se the ghani
daulat baDhi to baDh gain be-eatinaiyan
be-pardagi se uD gaya sharm-o-haya ka rang
chehre pe uD rahi hain haya ke hawaiyan
ausaf dekhna hon to auron ke dekh 'shad'
ojhal hain teri aankh se teri buraiyan
Ghazal
Aqlim-e-dil pe ishq ki farman-rawaiyan
Shad Bilgavi