aql-o-dil ko mila-jula rakhiye
zabte mein bhi rabta rakhiye
dusra shahr dusre sathi
dil bhi sine mein dusra rakhiye
band kar lije dar sab aankhon ke
zehn apna magar khula rakhiye
itne patthar na phenkiye sahab
wapsi ka to rasta rakhiye
kuchh bhi jine ki aarzu hai agar
jaan dene ka hausla rakhiye
din sada ek se nahin rahte
raat aaegi kuchh bacha rakhiye
jo hamare hue na apne 'yaad'
aise logon ko yaad kya rakhiye
Ghazal
Aql-o-dil ko mila-jula rakhiye
Shahjahan Bano Yaad