اردو हिंदी
Apnon se murawwat ka taqaza nahin karte | Shaahi Shayari
apnon se murawwat ka taqaza nahin karte

Ghazal

Apnon se murawwat ka taqaza nahin karte

Shohrat Bukhari

;

apnon se murawwat ka taqaza nahin karte
sahraon mein sae ki tamanna nahin karte

majnun pe na kar rashk ki jo ahl-e-wafa hain
mar jate hain mashuq ko ruswa nahin karte

Tuk dekh liya aankhon hi aankhon mein hanse bhi
par yun to ilaj-e-dil-e-shaida nahin karte

kya ho gaya is shahr ke logon ke dilon ko
KHanjar bhi utar jae to dhaDka nahin karte

barish ki talab hai to samundar ki taraf ja
ye abr to sahraon pe barsa nahin karte

do din ki jo baqi hai tahammul se basar kar
jo hona hai ho jaega socha nahin karte

pachhtawe se baDh kar koi aazar nahin hai
jab dil ko lagate hain to roya nahin karte

mayusi ki neamat baDi mushkil se mili hai
phir aas bandhate ho tum achchha nahin karte

jo kuchh kahe 'shohrat' ki ghazal man lo us ko
dil ko kabhi shaer ke dukhaya nahin karte